| Sakina dafn hoti hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Pukari banu e muztar sakina dafn hoti hai Utho ay khasimo akbar Sakina dafn hoti hay Kahan ho fatema zahra kalaija katt gaya mera Bahu ko thaam lo aakar Sakina dafn hoti hay Kafan ke waaste paya badan ka ek phata kurta Koee waris nahin sarpar Sakina dafn hoti hay Khuda ke waaste logon mujhe bhi saat dafna do Akeli kya karoon jeekar Sakina dafn hoti hay Ye bachi kumbe waali hai bade nazon ki paali hai May tanha chorr doon kispar Sakina dafn hoti hay Khade kya karte ho logon mujhe bhi saat dafna do Mujhe pursa do ror ro kar Sakina dafn hoti hay |