| Mola Hasan ne jo bar kar diya Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Mola Hasan ne Sulh ka jo waar kar diya Fatna gari ki chaal ko bekar kar diya Nok e qalam se kar ke muafiq ka sar qalam Ik fitnagar ko jeetay jee finnar kar diya Mola se takht mang ke tu ne faqeer e Shaam Khud hi bhikari honay ka izhar kar diya Baiyat nahi karoon ga mera sar utar lo Inkar kar diya to bas inkar kar diya Hur ne laga ke nara e labbaik ya Hussain Soye huay zameero ko bedar kar diya Aagosh may sikha ke mujhe matam e Hussain Bachpan may mujh ko maa ne azadar kar diya Gulshan may Syeda ke jo pehli kali khili Islam ka chaman gul o gulzar kar diya Khushboo e khoon e shah e shaheedan ne hashr tak Batil ka sans lena bhi dushwar kar diya Mola Hasan ki chashm e inayat ne Sohail Mujh ko bhi aik sacha qalam kar kar diya |