| Jo dil may Karbala aabad rakhay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Jo dil may Karbala aabad rakhay Khuda us ko sada aabad rakhay Duyain Fatima detain hain us ko Ke jo farsh e aza aabad rakhay Ali ke zikr se khush honay walay Tujhay mushkil kusha aabad rakhay Pisar de kar kaha raahib ko Sheh ne Ke ja tujh ko Khuda aabad rakhay Ali ke bughz may barbad hay jo Usay ab koi kia aabad rakhay Usay kaise mita paye gi dunya Jisay Mola Raza aabad rakhay Mila hay jo azadari ka ham ko Khuda ye silsila aabad rakhay Khuda wanda har ik ahle aza ko Hay Zehra ki dua aabad rakhay Tumhari is qalam kari ko Yasir Janab e Syeda aabad rakhay |