Azab marhala tae bandeshe aza ne kya
Efforts: syed fazal abbas

azeb marhala tae bandrshe aza ne kya
badha h utna ye gham jitna kam jafa ne kiya

bade bade bhi makatib wo kam kar na sake
jo kam elmo adab ka teri aza ne kiya

bashar ka noor h kya gash m aa gae musa
k kohe toor p jalwa jo murtaza ne kiya

satah pe aab ki chalti h qom musa ki
ye mozja bhi nuseri tere khuda ne kiya

ali ki guftgu hamsar na ho kyu quraa k 
qalam lahjae haider me jab khuda ne kiya

mitaya shah ne esa sawale baeat ko 
na ye swal kisi se bhi phir jafa n kiya

kul ambiya jaha mil kar waju na kar pae
waha pe sajda phaqat shahe karbla ne kiya

jukana chaha tha jo sar sitam seaaro ne
buland us ko are neza khud jafa ne kiya

sanae haidre karrar ki h maine    FAZAL
wahi to kam kiya h jo mustafa ne kiya