Chahta hay jee yehi aey noor e yazdani Hussain
Umr bhar karta rahoon teri sana khani Hussain
Azmat e Kaaba bhi hay ab us ki azmat par nisar
Tu ne kal jis khaak par rakhi thi peshani Hussain
Kaisay mumkin tha ke harf aata koi Islam par
Kar rahay thay khud shariyat ki nigehbani Hussain
Har taraf se zulmaton ne ghair rakha tha magar
Tu ne kam honay na di maah ki tabani Hussain
Karbala ki khaak par jis ki bina rakhi gayi
Us nayi tehzeeb e insani ke hain bani Hussain
Dekh le dunya amal Quran par karta hay kon
Mangtay thay dushmano se is liye pani Hussain
Chaltay chaltay yak ba yak qatil ka khanjar ruk gaya
Parrh rahay thay zair e lab aayat e Qurani Hussain
Jal raha tha aag may khaimo ki jab Zainab ka dil
Dekhti thi teri janab ghar ke veerani Hussain
Hain yehi asbab aey Mojiz sukoon e zindagi
Majlis o matam mahafil marsia khawani Hussain |