Khayal e Khaliq e Akbar ka ham khayal Hussain
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi



Khayal e Khaliq e Akbar ka ham khayal Hussain
Jisay zawal nahi hay wo la zawal Hussain
Bashar ke roop may Allah ki misaal Hussain
Dil e Rasool ki dharkan Ali ka laal Hussain 
Hussain jaisay kisi ke bhi walidain nahi
Bohat haseen hain Yousuf magar Hussain nahi

Samandaron ne kia jis ki tashnagi ko salam
Namaz karti rahi jis ki bandagi salam
Kiya hay moat ne khud jis ki zindagi ko salam
Zamana karta hay ab tak usi jari ko salam
Hayat moat ke sael ko baant deta hay
Hussain taigh ko sheh rag se kaat deta hay

Ye kainat hay riasat raees hay Shabiir
Dabeer e ishq Khuda ka anees hay Shabbir
Nafas nafas ki sada hay nafees hay Shabbir
Qasam Habib ki qismat nawees hay Shabbir
Khuda ke lehjay may aksar kalam karta hay
Hussain Hur ko alaihis salam karta hay

Hussain sabr hay eesar hay muhabbat hay
Hussain ishq ke mazmoon ki ibarat hay
Hussain Rehmatul lil aaleemen pe rehmay hay
Hussain koi fasana nahi haqeeqat hay
Jahan may ab bhi sheh e mashraqain baqi hay
Yazeed mit gaya naam e Hussain baqi hay

Diya bujha ke jo roshan karay zameer e bashar
Jo kainat may rakhta hay Hur shinas nazar
Jo chashme e ghaiz se kar day jahan ko zair o zabar
Hussain zakir e mabood hay teh e khanjar
Kamal e azm e Muhammad dikha diya jis ne
Sagheer betay ko ghazi bana diya jis ne

Kaheen tabassum e Asghar kaheen Hasan hay Hussain
Kaheen pe Ghazi kaheen aks e Panjtan hay Hussain
Kaheen akaila kaheen khuda may anjuman hay Hussain
Misal e Haider e Karrar saf shikan hay Hussain
Har ik muhaaz pe ghalib dikhayi deta hay
Hussain to Abu Talib dikhayi deta hay

Hussain khaliq e khak e shifa Maseeha bhi
Hussain faiz ka darya hay aur pyasa bhi
Hussain mazhar e Rab hay Khuda ka banda bhi
Hussain lakhon pe bhari raha akaila bhi
Hussain ne Abu Talib ke janasheen ki tarha
Ulat ke rakh diya maidaan aasteen ki tarha

Ghareeb aisa ke ghurbat nisar ho jis par
Shaheed aisa shahadat nisar ho jis par
Zaheen aisa zihanat nisar ho jis par
Imam aisa imamat nisar ho jis par
Nizam e deen o shariat ki laaj rakhta hay
Hussain ab bhi Khuda ka mizaj rakhta hay

Ana parast ghareebon ka charasaz Hussain 
Wiqar e Aal e Muhammad Nabi ka naaz Hussain
Qasam Khuda ki Khuda honay ka jawaz Hussain
Kaho ye Meer Takallum meri namaz Hussain
Nabi se pooch lo kia martaba Hussain ka
Ye kainat Khuda ki Khuda Hussain ka hay