Dam mast qalandar Ali Ali Kaabe ka gauhar Ali Ali Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Ali Ali Ali Ali Aabaad damaadam aadam ki shehrag me Ali tan man me Ali Lafzon me Ali nafson me Ali saanson me Ali dharkan me Ali Darya me Ali me maujon me Ali baadal me Ali saawan me Ali Dam mast qalandar Ali Ali Kaabe ka gauhar Ali Ali Kaabe ko aake jis ne qibla banaaya Rab ne usi kaabe ko sajda karaaya Jhute khudaaon waale ye keh bhaage Gunj uthe dharti pe har su yehi naare Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Geeta utha kar dekho Quraan parh lo Taureit kholo chaahe injeel dekho Saare mazaahib waale kehte hain sahife Lafz alag hain sab ke matlab to yehi hay Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Tapte huwe sehra me qaafela roko Waada Mohammad apna pura to kar lo Tera wasi ab hoga do jag ka maula Rab ka ghadeere khum me peighaam yehi tha Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Aadam se khaatam tak hay ek aqeeda Jis ne Ali ko jaana rab ko bhi jaana Ek wazifa sab ka jitne the payambar Theek hi to kehta tha Shahbaaz Qalandar Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Kaam sabhi ke aaya jis ne pukaara Is ke liye dharti par utra sitaara Wird yehi karte hain ye chaand sitaare Baat yehi kehte hain darya se kinaare Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Kaisi azaane midhat meesam ne di hay Qurbaan tujh par meri jaan Ali hay Teri mohabbat dil me aur daar ka mimbar Maine zabaan de di hay ye daar pe jaa kar Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Naame Ali me aisa raaz chupa hay Jis ne pukaara parwaan charhaa hay Sab ka Ali waris hay tera bhi mera bhi Nusrate rab se bola ye Fathe Ali bhi Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Tausif kya mein likhun apne Ali ki Sab se bari hay aayat rabbe jali ki Dekha Mohammad ne bhi meraaj pe jaa kar Wird farishton ka tha ye arshe bari par Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana Hon jis ke dar ke naukar salmaan jaise Sab us ke madha khwaan hain farhan jaise Rab ka wohi hay mazhar jo rab ka wali hay Maane na maane dunya par sach to yehi hay Aaj nay te kal saare Ali Ali kehnge wekhega zamaana |