| Dama dam ya Ali Haider Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Mach gayi dhoom ye ghar ghar Dama dam ya Ali Haider Huwa ek noor jo peida huwa taqsim do hissa Huwa ye raaz huwaida sare farshe nabi dekha Tujhe ehmad ke baraabardama dam ya Ali Haider Aayi nazraan kinaari huwi maidaan me tayaari Aayi panjtan ki sawaari huwa farmaan ye jaari Ali hai nafse payambar dama dam ya Ali Haider Soye bistar pe jo bhaayi raza allah ki paayi Wahi jibreel ne laayi kar diya deke khudaayi Dono aalam ka gawarnar dama dam ya Ali Haider Wird tu subh o masaa kar naam maula ka liya kar Pare mushkil to sadaa kar chhor dushman ko dabaa kar Lagaa de naara e Haider dama dam ya Ali Haider Teri sarkaar hai aali aaye hain ban ke sawaali Nahi lot aaenge khaali tere maulayi mawaali Aae hain ban ke gadaagar dama dam ya Ali Haider Bas tu Haider hi kiye ja naam maula ka liye ja Mae irfaan piye ja joshe imaan liye ja Tu hai sarkaare sukhanwar dama dam ya Ali Haider Behre shabbir o shabbar nazare lutf o karam kar Nazr ban jaae ye gauhar hun sanaakhaane sukhanwar Haidari hun tera qambar dama dam ya Ali Haider |