Ali aur Zehra ki shaadi ratchi hai Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Ali aur Zehra ki shaadi ratchi hai Zameen se falaq tak khushi hi khushi hai Chiraagha hai jannat ke divaar o dar par Bohot khush hain hurrein khushi ki khabar par Farishton ke lab par bhi naade Ali hai Banaaya hai maryam ne dulhan ka jora Sajaaya hai taaron se saaraah ne kangan Har ek moje kausar mehekne lagi hai Hai dulha ki pagri nabi ka amaama Hai poshaak dulha ki aadam jaama Jo hai phul sehre ka wo haidari hai Hai jannat ke phulon se mehki fizaaein Chali virde salle alaa ki hawaaein Khudaara ke dulha abu taalibi hai Ye kausar ke maalik wo khaatune jannat Ye mushkil kushaa hai wo binte risaalat Khuda ne ye donon ki jori chuni hai Huwa aqd Zehra se maula Ali ka Huwa khwab pura khuda ke nabi ka Ke daamaad unka khuda ka wali hai Ye kausar ke maalik wo khaatune jannat Ye mushkil khusha hai wo binte risaalat Khuda ne ye dono ki jhori chuni hai علیؑ اور زہراؑ کی شادی رچی ہے زمیں سے فلک تک خوشی ہی خوشی ہے چراغاں ہے جنت کے دیوار و در پر بہت خوش ہیں حوریں خوشی کی خبر پر فرشتوں کے لب پر بھی نادِ علیؑ ہے بنایا ہے مریم نے دلہن کا جوڑا سجایا ہے تاروں سے سارہ نے کنگن ہر اک موجِ کوثر مہکنے لگی ہے ہے دولہا کی پگڑی نبیﷺ کا عمامہ ہے پوشاک دولہا کی آدم جامہ جو ہے پھول سہرے کا وہ حیدری ہے ہے جنت کے پھولوں میں مہکی فضائیں چلی وردِ صلّ علیٰ کی ہوائیں خدارا کہ دولہا ابو طالبی ہے یہ کوثر کے مالک وہ خاتونِ جنت یہ مشکل کشاء ہے وہ خاتونِ جنت خدا نے یہ دونوں کی جوڑی چنی ہے ہوا عقد زہراؑ سے مولا علیؑ کا ہوا خواب پورا خدا کے نبیﷺ کا کہ داماد اُن کا خدا کا ولی ہے یہ کوثر کے مالک وہ خاتونِ جنت یہ مشکل کشاء ہے وہ بنتِ رسالت خدا نے یہ دونوں کی جوڑی چنی ہے |