| Aey mujrae chaman ki fiza hay aza pasand Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Aey mujrae chaman ki fiza hay aza pasand Shabnam kali ko phool ko chak e qaba pasand Matam may Sheh ke phoolon ki chadar liye bahar Har nakhl e sabz posh ko shan e aza pasand Sabza bichaye farsh e azadariya Hussain Sumbal ko na durustiye zulf e duta pasand Har sarw apni jaan par uthay huay alam Sabit qadam jo hain to hay rasm e wafa pasand Akbar ko jitna rang e shahadar hua azeez Itni hui na surkhiye barg e hina pasand Talkhi to moat may hay magar haq ke wastay Qasim ko shehd se bhi tha ye zaeqa pasand Asghar ko apni moat par bas aa gayi hansi Thi is kali ko moaj e naseem e baqa pasand Ashk e ghulam o zakhm e sar e Hur ko fitratan Romal e paak e bint e Rasool e Khuda pasand Pohoncha day zoar e gardish e taqdeer koi din Ahsan ko hay dua se Sheh e Karbala pasand |