Dar e Khaibar
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Dar e Khaiber hoon Khaibar naam se shohrat hay is dar ki
Shararat dekhi 39 din tak sab ne lashkar ki
Magar chaleewain din may ne dekhi jang Haider ki
Meray kano se takrayain sadayain fath-e-Khaibar ki
Bata Marhab ko hisson may to may ne dekha ghabra kar
Ruki tegh e Yadullahi par-e-Jibreel par aa kar

Hay mera wazn kitna pooch lena ahl e Khaibar se
Kahan do chaar insaan samnay aatay dar se
Dar e Khaibar hoon leta kaam hoon may beeson nokar se
Haqeeqat khol di meri Ali ne aik thokar se
Alag kar ke mujhe deewar se yun Sheh ne chorra hay
Ke jaise baghbaan ne daal se ik phool torra hay

Hazaron log dhakkay de rahay thay raat bhi mujh ko
Magar aati rahi meray hi bhari pan se ghin mujh ko
Sadayain charcharahat ki karain kiya mutmayin mujh ko
Bhala neendain kahan aateen meray Mola ke bin mujh ko
Zameen se uth ke khud ko aasmaan ke hath may paya
Ke choonti ki tarha dast e Sulaiman par nazar aaya

Zamanay ki nigahon may tha may koh e garaan gar cheh
Na khulta kalla e Khaibar to barrhtay aur bhi kharchay
Meray seenay pe mazbooti ke chipkaye gaye parchay
Pehlwano may meray wazn ke hotay rahay charchay
Gharoor e wazn ka saghar kayi muddat se chalka tha
Ali ne choo ke batlaya ke may kaghaz se halka tha

Jahan walay samajhtay thay mujhe mazboot darwaza
Bikhar kar reh gaya pal may dar-e-Khaibar ka sheeraza
Bhugatna hi parra yun apni mazbooti ka khamyaza
Ki ko bhi nahi hay shair ki taqat ka andaza
Amir al-Mominee ke hath may to aisa lagta hoon
Ke jaise may dar e Khaibar nahi ik khushk patta hoon

Kiya do ungliyon par sheh ne mujh ko is qadar ooncha
Hawa ne kar liya Maula ko apnay dosh par ooncha
Khushi se ho gaya phir Khana e Kaaba ka sar ooncha
Mujeeb is farsh par hay mujh se barh kar koi dar ooncha
Bulandi mil gayi hay to falak ki sair kar aaon
Ali dain hukm to taray falak se toar kar laoon