Waadi e Shaam se ho kar jo hawa aati hay
Kisi Masooma ke ronay ki sada aati hay
Kiya yateema koi roti hay pidar ke gham may
Qaid khaaney se jo ye aah o buka aati hay
Sar e Abbas se Sajjad ne ye ro ke kaha
Mujh ko Zainab ke khulay sar se haya aati hay
Paey Sajjad ki latki hui zanjeeron se
Aaj bhi girya o matam ki sada aati hay
Aaj bhi Shaam ki tareekiye zindanoon se
Meray baba meray baba ki sada aati hay
Pursa Shabbir ka lenay ke liye Majlis may
Aik maa hay jo sar e farsh e aza aati hay |