| Meray aaqa meri sarkar Imam e Zaamin Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Meray aaqa meri sarkar Imam e Zaamin Deen ke athwain sardar Imam e Zaamin Khali daman kabhi jata nahi koi saail Aisa hay aap ka darbar Imam e Zaamin Aaye hain sajda e tazeem ada karnay ko Shah e waala ke azadar Imam e Zaamin Mil gaya mujh se khata kaar ko bhi ye aizaz May bhi kehlaoon ga zawwar Imam e Zaamin Aap ke shehr ke ik pal bhi nahi hoti hay raat Aap ka naam hay zobaar Imam e Zaamin Kis liye mangon duayain may shifa yabi ki Hoon teray ishq may beemar Imam e Zaamin Ambiya Aulia hooran e jinaa Jinn o bashar Aap ke sab hain namak khawar Imam e Zaamin Waasta de ke jo Masooma e Qum ka maanga Lag gaye lafzon ke ambar Imam e Zaamin Pesh karnay ke liye aap ko laaya hay Sohail Apna duldasta e ashaar Imam e Zaamin |