| Teri laash ko may Asghar dafnayon ab kahan Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Teri laash ko may Asghar dafnayon ab kahan Dhondhain gay tujh ko naizay (x2) Charon taraf yahan Jhoolay may ho raha hay kyun beqarar dekho Karwat badal raha hay kyun bar bar dekho Jab se suni hay is ne (x2) Akbar teri azaan Tera mazar beta hathon se may sajata Afsoos meray Asghar majboor tera baba Khud hi mita raha hay (x2) Teri qabr ka nishaan Manzar ye dekhtay hi arsh e bareen hila hay Ghutno ke bal hay baitha chehray pe khoon mala hay Sabir Hussain jaisa (x2) Leta hay siskiyan Nazuk galay pe wazni jo teer seh gaya hay Hota nahi hay bas ye ghayyur sochta hay Khaimo se cheekh sun ke (x2) Kaheen aa na jaye maa Saqleen jab bhi hoon gay zaahir Imam e aakhir Rutba milay ga aala ham hoon gay un ke nokar Asghar ke matami aur (x2) Asghar ke noha khawan |