| Kaam mushkilon me aye, sab ki bigrri banaye Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Kaam mushkilon me aaye, sab ki bigrri banaye.. Kaam mushkilon me aaye, sab ki bigrri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Saari duniya bhulaye , ussye kuch bhi na bhaye, Ussye kuch bhi na bhaye, Saari duniya bhulaye Baney jiska sahara Ali Ali (x2) Aaghosh-e-Abu Talib ki tarha, Kaaba bhi tumhara Talib hay Qudrat ki banayi har sheh par, tu poori tarha se ghaalib hay Murda zinda ho ke jaaye, suraj bhaaga bhaaga aaye (x2) Jo ho tera ishaara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Hay achi tarha maaloum usse, kis ki chokhath par jaana hay Dar asal sitare ka maqsad, kuch logo ko tarpana hay Dil ki dadkanein barhayee, na jagaye na sulaeye (x2) Kehta jaaye yeh sitara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Woh jis ke aik ishaare par, Maghrib se palatt aaye suraj So chaand nichaavar chaand karye, Qadmon mein bhi chaa jaaye suraj Aysa mojjiza dikhaaye, kuch samajh mein na aaye (x2) Wohi Rab ka dulhara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Mushkil ki ghari jab aan pari, Islam par jang e khaybar mein Farraar ye lashkar dekh ke ek, halchal thi dil e peghambar mein Sab thy sar ko jukaaye, tabhi jibril aaye (x2) Aur gunjja ye naara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Iss dehr mein jinke shaam o sahar, kathte hain bughz e haider mein un chehron pe laanat barsey gi, ye haalat hogi mehshar mein Khare hongy sar jukaaye, aur kareingy Haaye Haaye (x2) Nahin jinko gavaraa Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigrri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Dar dhound raha tha Haider ka, mujhe shehr e ilm ko jaana tha Kyun jaata bhalaa mein idhar udhar, jab Moula ka diwana tha Mein thaa aas lagaaye, koi raah dikhaaye, (x2) Tabhi dil ne pukaara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigrri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) Honthon pe Ali ka naam rahe, iss jism mein jab tak jaan rahey Naayaab hamaara tann mann dhann, Sab moula par qurban rahey Maout hum ko na aaye, jab tak (phir se) na dikhaaye (x2) Rab rouza tumhara Ali Ali (x2) Kaam mushkilon me aye, sab ki bigrri banaye.. Wohi moula hamara Ali Ali (x2) |