| Khuda ka zikr karo Mustafa ki baat karo Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Khuda ka zikr karo Mustafa ki baat karo Ke baad e zikr e Nabi Murtaza ki baat karo Agar ho chahtay dunya may kamyabi tum To phir to fateh e Khaibar Ali ki baat karo Nabi ne jab bhi madad ke liye Khuda se kaha Kaha Khuda ne ke tum La Fata ki baat karto Baghair hubb-e-Ali mushkilain na hoon gi khatam Kaha Khuda ne ke Mushkil Kusha ki baat karo Agar ho rajishain tum sab ke darmayan logo Karo ye door aur uqda kusha ki baat karo Agar ho chahtay tum kufr ko khatam karna To phir jahad karo Karbala ki baat karo Wafa sha-aar ho qayam ho deen e haq par tum To Karbala ke usi ba wafa ki baat karo Parrain jo mushkilain to shukr e Khuda hi kartay raho Ibadatain karo Zainul Aba ki baat karo Rahay ga naam e Hussain ta abad talak zinda Jo naam chahtay ho to Gulgoon Qaba ki baat karo Agar hay aarzo aey Sultana tum ko Jannat ki Majalisain karo sabr o raza ki baat karo |