| Nabi ke husn e mujassam ki shaan hain Akbar Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Nabi ke husn e mujassam ki shaan hain Akbar Payambron ke labon ka bayan hain Akbar Jo sar nigon na hua wo nishan hain Akbar Zaeef ho gayi sadyaan jawan hain Akbar Samajh ke farz barra ehtaram kartay hain Adab se Harat e Yousaf salam kartay hain Warood e rehmat e mabood hay zamanay may Lagay hain ghucha o gul aaj muskaranay may Nazool e Najm o kawakib hay aastanay may Hain mehw ahle falak motiyan lutanay may Qabeela e bani Hashim may jashn barpa hay Ke aaj goad may Laila ke chand utra hay Zahoor e Yousaf e Sarwar hua jo waqt e sahar Uthi Rasool ki khushboo mehak utha manzar Tha shukr e Rab sar e lab haey madar e Akbar Kaha ye Zainab e Kubra ne goad may le kar Kamal e qudrat e takhleeq e Kibriya dekho Hussain aan ke Nana ka bachpana deko Khulay jo dosh par gesoo to abr chanay laga Khushi se sura e wal lail muskuranay laga Khila wo chand sa chehra shabab aanay laga Masain jo bheegeen to Islam lehlahanay laga Ye ghul hua ke andhera simatnay wala hay Nabi ke husn ka sooraj nikalnay wala hay Bara e deed ajab ihteram karti hay Dharktay dil ki sada ko payam karti hay Basartain rukh e Akbar ke naam karti hain Sar e bahisht ye hoorain kalam karti hain Jamal e haq ka sarapa nishan honay lagay Utaro sadqa ke Akbar jawan honay lagay Jahan bhi is ka tasawwar nahi bahaar nahi Wo gul nahi ke jo Akbar ka zair baar nahi Ye aajzi hay haqeeqat nahi inkesar nahi Bayan e husn may lafzon ka akhtiyar nahi Zameen pe husn e falak ki misaal ban jaye Tarash de jo ye nakhun hilaal ban jaye Shah e Huda ke haseen mehlaqa tera chehra Takay ga Sura e Yousuf sada tera chehra Dil e Rasool ka hay aaina tera chehra Jahan bhi jis ko nazar aa gaya tera chehra Nigah ban ke musalla daraz honay lagi Naqab hat-tay hi rukh se namaz honay lagi Chala jo bait e sharaf se kabhi wo arsh janab To toot toot ke barsa hay raastay may sahaab Qadam ko choom ke zarray bhi ho rahay thay gulab Naseem e khuld ke jhonkon se hat gayi jo naqab Hijab e rukh ke haseen aitekaf se nikla Utha ye shor ke Kaaba ghilaf se nikla Safar karain to masa khud Rasool jaisi hay Qarar lay to sakoonat Rasool jaisi hay Jo bol day to khitabat Rasool jaisi hay Naqab ultay to soorat Rasool jaisi hay Bas aik wasf e Khuda daad may shamool nahi Ke wo Rasool hay mansab may ye Rasool nahi Na tham sakay wo rawani azaan ko day di Na jhuk sakay wo nishani azaan ko day di Na mit sakay wo kahani azaan ko day di Sada bahaar jawani azaan ko day di Yehi sabab hay basad ehtishaam zinda hay Azaan ke shahr may Akbar ka naam zinda hay Sulagtay dasht ke manzar may tashnagi ki tapish Shujaaton ke samandar may tashnagi ki tapish Wiqar e chashma e Kausar may tashnagi ki tapish Barrhi jo seena e Akbar may tashnagi ki tapish Chali hawa e atash aasman pighalnay laga Jo saans li to samandar ka dam nikalnay laga Ba zoar e hamla e ibn e Shah e anaam hui Sipah e Shaam may har zindagi ki sham hui Shikast khajar o tegh o sina ke naam hui Larray jo Akbar e merho khabar ye aam hui Sheh e Huda ke dilawar ka khof baith gaya Dilon may nezon ke Akbar ka khof baith gaya Kaseer foaj hay phir bhi na gham karo amma Alam ko maan ke mannat alam karo amma Tum apnay sheer ka unwaan raqam karo amma Jigar pe naad e Ali parrh ke dam karo amma Sulagtay seenay se chashma bhi phoot sakta hay Meray kalejay se naiza bhi toot sakta hay |