| Kaamil hua hay deen Khuda ka Ghadeer may Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Kaamil hua hay deen Khuda ka Ghadeer may Jab noor dast e noor pe aaya Ghadeer may Kuch is tarha Rasool ke hathon pe hain Ali Jaisay simat ke aa gaya Kaaba Ghadeer may Jana jo chahta tha to jaltay thay us ke paoon Tha sab pe aaftab ka pehra Ghadeer may Seenay pe aayaton ko utara gaya magar Nuqta Nabi ke hath pe utra Ghadeer may Chehray bata rahay thay pata sab ke khoon ka Naslon ka imtehan hua tha Ghadeer may |