| Banaya Shah ne kaabay ka Kaaba Karbala may Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Banaya Shah ne kaabay ka Kaaba Karbala may Namazon nay bichaya hay musalla Karbala may Sar e Karbo bala aisa kiya Sarwar ne sajda Kiya kul ambiya ne aa ke sajda Karbala may Ata kar di bulandi Sheh ne itni Karbala ko Utar kar aa gaya arsh e mualla Karbala may Sina par guftagu Shabbir ne jab ki Khuda se To khud mairaj ne bhi sar jhukaya Karbala may Zamana kar raha hay us ki paimayish abhi tak Ali Asghar ne itna qad nikala Karbalay may Ali Asghar ne dunya ko sunaya muskura kar Sabhi nabyon ki mehnat ka nateeja Karbala may Yazidi khof se Karbo bala aatay nahi hain Ye hay Abbas ki bahon ka pehra Karbala may |