| Ali Ali ki jisay bhi sada pasand nahi Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Ali Ali ki jisay bhi sada pasand nahi To aisa moulvi ham ko zara pasand nahi Ali ko kyun nahi deta sadayain mushkil may Ajab mareez hay tujh ko dawa pasand nahi Waseela Panjtan e Pak ka nahi jis may Khuda ko aisi koi bhi dua pasand nahi Yazeediat kay jaraseem jin ke khoon may hoon Unhain Hussain ka farsh e aza pasand nahi Namaziyon se ye kehti hay panjgana namaz Namaz e ishq e Ali ki qaza pasand nahi Hay haq shaar to iqrar kar wilayat ka Adhoora kalman Khuda ko tera pasand nahi Hay un ke shajre may ---- hasab nasab nokar??? Jinhain kalam e Hadees e Kisa pasand nahi Tawaf e Kaaba bhi us ka fazooliyat may hay Hussain tera jisay lafiya pasand nahi???? Ajeeb pagal pan ka shikaar hay waeez Shifa bhi chahye khaak e shifa pasand nahi Muqasireen ko mimbar pe yun alal ailan Sohail Shah ka haq bolna pasand nahi |