| Safeer e Kalama e Tauheed hain Abu Talib Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Safeer e Kalama e Tauheed hain Abu Talib Kalam e Pak ki tamheed hain Abu Talib Khuda ke deen ki tayeed hain Abu Talib Rasool e haq ke liye Eid hain Abu Talib Zaleel ahle watan khoon jab rulatay hain Inhi ko dekh ke Sarkar muskuratay hain Khuda ke deen ki sipar sher e nar Abu Talib Nahi kay koi bahadur magar Abu Talib Nabi hain mukhbir e Sadiq khabar Abu Talib Ye jaan lo ke na hotay agar Abu Talib Wajood chorr do imkan tak na ho pata Khuda ke deen ka ailan tak na ho pata Wahi may fikr o matalib se raey letay hain Nabi shaoor ke qalib se raey letay hain Mahaz e jang ke ghalib se raey letay hain Qadam qadam Abu Talib se raey letay hain Ab us pe kufr ka ilzam kab gawara hay Ke jis ki raey Muhammad ka istikhara hay Payam e dawat e Islam bemisal diya Gawah ki thi zaroorat to apna laal diya Sakoot cha gaya lehjay ko yun jalal diya Zaban kholi to baatil ka dam nikal diya Saron ki fasl bataye bahar kia ho gi Zabaan hay aisi to phir zulfiqar kia ho gi Dikha raha hoon asheera ka tum ko aik jhalak Palak jhapknay ko raazi na thay zameen o falak Wo shorbay ki tamanna wo rotiyon ki lalak Shikam paraston se poocho ke teen roz talak Bhala wo naan o namak be misal kis ka tha Dakartay rahay jis ko wo maal kis ka tha Lahoo se gulshan e tauheed ko sanwar diya Sada e haq jo dabi thi usay ubhar diya Kuch is tarha ki muhabbat kuch aisa piyar diya Tha pas jo bhi bhateejay pe apnay waar diya Khilaf in ke agar lab koi bhi kholta hay Ye jaan lo ke Ummaya ka khoon bolta hay Tamam umar faqeeron ki parwarish ki hay Zamany bhar ke ghareebon ki parwarish ki hay Sitam raseeda aseeron ki parwarish ki hay Nabi ne saray yateemo ki parwarish ki hay Ye baat haq hay agar is ka bol bala hay Magar batao Muhammad ko kis ne pala hay Bast jalal basad hosla Abu Talib Shajaaton ki barasti ghata Abu Talib Uthao parchame e deen e Khyuda Abu Talib Ye de rahay hain abhi tak sada Abu Talib Meray yaqeen meray aisar ke nateejay ko Koi yateem na samjhay meray bhateejay ko Falak se 13 Rajab ko ajab khushi aayi Wajood e Khana e Kaaba may zindagi aayi Butan e Kaaba hilay moat ki gharri aayi Isi ka laal jab aaya to roshni aayi Ye soch soch ke baatil ka dam nikalta hay Khuda ke ghar bhi inhi ka charagh jalta hay Ye faisla hay azal se Khuda e wahid ka Jahan qayam e Ali ho waheen banay Kaaba To phir qayam to Hazrat ke sulb may bhi raha Samajh may kuch nahi aata kidhar karain sajda Makaan qamar hay to rashk e qamar Abu Talib Udhar hay Khana e Kaaba idhar Abu Talib Barrhao fatwon ki raftar ab na sust bano Shikm parast ho farwa bano durust bano Ghiza haram ki kha kha ke khoob chust bano May chahta hoon ke tum aur tandurust bano Lahoo ko chaat ke dil chain dashta ho ga Ali ki taigh ka bharpoor nashta ho ga |