| Kam nahi maah e Rajab se ye mahe Shabaan hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Kam nahi maah e Rajab se ye mahe Shabaan hay Wo mahina jism tha to ye mahina jaan hay Mustafa ke seena e aqdas pe sotay hain Hussain Saaf kehtay kyun nahi Quran par Quran hay Is mahinay ki fazeelat kia karay koi raqam Eid ka ik silsila hay khana e Imraan may Aa gaye Abbas o Qasim Akbar o Zainab Hussain Ho gayi tayyar poori Karbala Shabaan may |