Jis ko adam nahi wo haqeeqat Hussain hay
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Jis ko adam nahi wo haqeeqat Hussain(as) hay
Taqdeer e Mustafa(sawaw) ki ibarat Hussain(as) hay

Rizwaa ke ham rikab hay palkon ki haisiat
Ankhain jina hain aur sar-e-Jannat Hussain(as) hay

Paikar may dhal gayi hay namaz e Muhammadi
Baala e arsh e pusht e nabuwat Hussain hay

Ye ikhtiyar e zabt e wigha is liye bhi hay
Abbas ke lahoo ki hararat Hussain(as) hay

Kaaba to wo hay jis ki bulandi Khaleel hay
May Karbala hoon meri haqeeqat Hussain(as) hay

Mehw e namaz ran may Saeed o Zuhair hain
Nusrat ki is namaz may niyyat Hussain(as) hay

Rajaat ko Hur ki dekhi ke Dawood ne kaha
Pathar ko moam karnay ki qudrat Hussain(as) hay

Mujh ko karain salam Rasoolon ki mehnatain
May Fatima(as) hoon aur meri mehnat Hussain(as) hay