| Isay samajh ke musalla namaz parrhta hay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Isay samajh ke musalla namaz parrhta hay Hay Karbala yahan Kaaba namaz parrhta hay Ye Karbala e Mualla to woh musalla hay Ke jis pe arsh e Moalla namaz parrhta hay Samajh ke naqsh e qadam ko hi janamaz e wafa Jari ke qadmo may darya namaz karrhta hay Hussain jaisa namazi kahan se lao gay Hussain to sar e naiza namaz parrhta hay Hay hukm e Rab ke abhi pusht se uthay na Hussain Abhi Rasool ka sajda namaz parrhta hay Kul ambiya jahan mil kar wuzoo bhi kar na sakay Wahan Hussain akaila namaz parrhta hay Dar e Batool musalla hay arsh walon ka Yahan utar ke sitara namaz parrhta hay Qamar pe hoti hay zanjeer jab bhi sajda kuna Har aik khoon ka qatra namaz parrhta hay Wafoor e shouq may karta hoon jab bhi may matam Wajood saray ka sara namaz parrhta hay Ye dekh kon ziada hay Karbala se qareeb Na dekh kon ziada namaz parrhta hay Aza ke farsh pe fatway na tu laga waez Isi pe tera musalla namaz parrhta hay Bili ki ye zameen e haseen hay Noor Ali Ke jis pe tera qaseeda namaz parrhta hay Khuda bhi raazi hay us se Hussain bhi raazi Aza ke sath jo banda namaz parrhta hay Zamana samjhay na mabood is ko Noor Ali Isi liye mera Maula namaz parrhta hay Bilal ki ye zameen e hasee(n) hay Noor Ali Ke jis pe tera qaseeda namaz parrhta hay |