| May hoon Kaaba mujhe Allah ka ghar kehtay hain Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
May hoon Kaaba mujhe Allah ka ghar kehtay hain Markaz e sajda e masjood hoon Kaaba hoon may Masnad e Mabood hoon Kaaba hoon may Maqsad e Rab ka maqsood hoon Kaaba hoon may Roz e awwal se hi mojood hoon Kaaba hoon may Azmat e Noor e wilayat se sajaya hay mujhe Hukm e Allah se nabyon ne banaya hay mujhe Hay zamon se siwa khalq ke maiyar meray Ambiya aur malayak huay zawwar meray Fikr e insaan may samatay nahi anwaar meray May hoon masoom ke masoom hain maymar meray Silsila meri tajalli ka kahan rukhta hay Samnay meray to nabiyon ka bhi sar jhukta hay Kon samjha hay mujhe kia hay mera soz o gudaz Meray anwaar se roshan may zamano may hijaz Meri tajseem may Allah ne rakha hay ye raaz Mujh se phir jaye agar chehra to baatil hay namaz Mujh ko Allah ki amzat ka nishan kehtay hain La makaan hay jo Khuda us ka makaan kehtay hain Kabhi socha ke ye aijaz mujhe kaise mila Ye ibadaat ka andaz mujhe kaise mila Azmaton ka par e parwaz mujhe kaise mila Kabhi socho ke ye aizaz mujhe kaise mila Meray hissay jo ye auj e azali aaya hay Misl e Quraan meri jholi may Ali aaya hay Meri azmat meri qamat pe zara ghor to kar Meri taqdees pe hurmat pe zara ghor to kar Meri ronaq meri zeenat pe zara ghor to kar Aey bashar meri haqeeqat pe zara ghor to kar Ye sharaf mera hay Khaliq ka Wali rehta hay Ghar hoon Allah ka par mujh may Ali rehta hay Aisi kab tha mera mayar Ali se pehlay Is qadar kab tha may shahkar Ali se pehlay Mujh may kab aaye thay anwaar Ali se pehlay May tha but khana e Kuffar Ali se pehlay Kar diya amr e ulil amr na Kaaba mujh ko Naqsh e Haider ne kiya laeq e sajda mujh ko Meray daman may bharay rehtay thay Kuffar ke butt Butt paraston ke liye thay sabhi maiyar ke butt Thay ajab mossavi tareek e kirdar ke butt Yani Allah ki touheed se inkaar ke butt Rabtay Rab se nusehri ka Khuda joarr gaya Aik hi waar may har jhoota Khuda toarr gaya Naqsh e Haider se haseen kal bhi tha aur aaj bhi hoon Farsh par arsh naseen kal bhi tha aur aaj bhi hoon Dil e momin may makeen kal bhi tha aur aaj bhi hoon May wilayat ka ameen kal bhi tha aur aaj bhi hoon Aamad e Haider e Safdar ka bayan aaj bhi hay Meri peshani pe sajday ka nishaan aaj bhi hay Paey Haider ke saba paaya hay Khaliq se sharaf May Imamat ke gohar ke liye thehra hoon sadaf Ahle eeman paye Hajj aatay hain jab meri taraf May wuzoo kar ke chala jaata hoon us roz Najaf Dekhnay jata hoon may Rab ke wali ka roza May hoon Kaaba mera Kaaba hay Ali ka roza Meri har samt hay Allah ke sajdon ki asaas May hoon touheed shanasa ke hoon Shabbir shanas Hay Najaf mera bharam Karb o bala hay meri aas Chowda soo saal se tan par hay meray kaala libas Dil se dard e dil e Shabbir bhulaya hi nahi Bakhuda may ne kabhi soag barrhaya hi nahi Meri pehchan bana hay ye mera kaala libas Kis qadar mujh pe jacha hay ye mera kaala libas Mujh se wabasta raha hay ye mera kaala libas Haan tabarruk may bata hay ye mera kaala libas Kaalay malboos may ghamkhar nazar aata hoon Hajiyon ko bhi azadar nazar aata hoon Khoon e Sarwar ke chiraghoon ne ziya di hay mujhe Karb may Karb o bala hi ne dawa di hay mujhe Khaak par khaak e shifa hi ne shifa di hay mujhe Nok e naize pe katay sar ne baqa di hay mujhe Is liye karnay ada haqq e wafa jata hoon Ban ke zawwar may khud Karb o bala jata hoon Samnay hota hay jab meray namazon may qayam Qaym e Aal e Muhammad ko may karta hoon salam Iltija karta hoon aey Noor Ali un se madam Parda e ghaib ulat dijye ab meray Imam Martaba mera zara aur barrha de Maula Chat pe aali jaanamaz bicha de Maula |