| Kar diya haq ne ye ailan Abu Talib ka Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Kar diya haq ne ye ailan Abu Talib ka Mohsin e deen pe hay ehsan Abu Talib ka Doar e hazir ka Muslaman Abu Talib ka Zikr sun kar he pareshan Abu Talib ka Jo namak kha ke Muhammad ka kary haq na ada Kaise manay ga wo farman Abu Talib ka Sheikh may apnay gireban may pehlay jhanko Baad may poochna eeman Abu Talib ka Adq e Ahmed se zamanay ko ye milta hay saboot Kis qadr pukhta hay eeman Abu Talib ka Ulfat e Haider e Karrar hay jis ke dil may Khuld may ho ga wo mehman Abu Talib ka Apnay maa baap ki tazeem na ki ho jis ne Kar nahi sakta wo samman Abu Talib ka Jo Ali walay hain un ko hi mila karta hay Sab ko milta nahi faizan Abu Talib ka Ya Ali keh ke to dekho wo nazar aayain gay Ye pata sab se hay aasan Abu Talib ka Deen bachanay ki jo baat aayi to hanstay hanstay Khandan ho gaya quraban Abu Talib ka Ba Khuda hay wo muqaddat ka sikandar Meesam Ho gaya jis ko bhi irfaan Abu Talib ka |