| Chairr diya hay zikr e Maula mimbar janay Haider janay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Chairr diya hay zikr e Maula mimbar janay Haider janay Kufar hay gar ye ishq Ali ka, to kafir janay Hider janay Bint e Asad to jayain gi har haal may Kaabay ke andar Dar ho gi deewar kahan se, madar janay Haider janay Ismael ye soch rahay thay kyun gardan par hath rakhon Naad e Ali hay meri zubaan par, khanjar janay Haider janay Mola teri shaan ke teray dushman ko bhi mushkil may Majbooran kehna parrta hay, Haider janay Haider janay Arifa e aijaz e Ali hain madar hain ummat to nahi Bint e Asad ko fikr nahi ab, azdar janay Haider janay Ham ko to bas itna pata hay sonay wala Haider tha Lagnay laga wo kaisay Payamaber, bistar janay Haider janay Shaam may aur Mairaj e Nabi may aik hi leja goya tha Kis ne rakha hay kis ka parda, dukhtar janay Haider janay Shair e Khuda ka pota hay ye keh kar maa ne bhaij diya Larrta hay ab kaise ran may, Asghar janay Haider janay Meer Hasan aur Sibt e Jafer banda e Haider hain dono In ke kafan par likhwa dena, Nokar janay Haider janay |