| Maymar-e-arz-e-Karb-o-bala - May Hussain hoon Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Maymar e arz-e-Karb o bala - May Hussain hoon Nokar bani hay jis ki qaza - May Hussain hoon Is poori kainat may Shabbir ke siwa Guzray bohat wali o nabi aali marbata Laikin koi bhi keh na saka - May Hussain hoon Raahib ke 7 betay to mamooli baat hay Meray to ikhtiar may kul kainat hay Jo chahoon jis ko kar doon ata - May Hussain hoon Bhatka hua tha raah e mawaddat tak aa gaya Naar e safar ko chorr ke Jannat tak aa gaya Jab Hur pe raaz khulnay laga - May Hussain hoon Meray liye Nabi ne jo sajda barrha dia Khaliq se may ne wada usi waqt kar liya Qarza utaar doon ga tera - May Husain hoon Waqif nahi hain woh meray jah-o-jala se Bayyat talb hay Fatima Zehra ke laal se Shayed Yazeed bhool gaya - May Hussain hoon Chamkay hain meray noor se zarray zameen ke Tum kia sikhao gay mujhe qanoon deen kay Islam meray ghar may pala - May Hussain hoon Ik din may wasf-e-faateh-e-Khaibar bana diya Lori may kia Hussain ne us ko suna diya Asghar bhi ran may kehnay laga - May Hussain hoon Mumkin nahi jo kaam had e mumkinat se Karb o bala ki khak pe khaki hath se May ne likhi kitab e wafa - May Hussain hoon Tu matmi hay mera mujhe bhi hay yeh khabar Laikin meray amal se Takkulum amal bhi kar Phir bakhsh doon ga teri khata - May Hussain hoon |