| Matla e Imamat par chand panchwan chamka Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Matla e Imamat par chand panchwan chamka Ho gayi zameen roshan aur aasman chamka Ilm ki farawani fikr ki jahan bani Ilm un ki hikmat se ho ke be khazan chamka Kamsini ke aalam may Karbala may Koofa may Qalb un ke har lamhe ho ke khoon chakaan chamka Baqir e uloom un ko is liye bhi kehtay hain In ke baad dunya may jahl phir kahan chamka Soorat e Ali ye bhi mushkilon may kaam aaye Sailoon ki qismat ka doar e raigaan chamka Sadqay un ke waday par aur wafa e waday par Manqabat yahan un ki khuld may makaan chamka Faiz Panjtan ka hay aey Rehan ye tujh par Shaeri ne di izzat ban ke madha khawan chamka |