| Maqam e Mehmood ki bulandi hay paey Khairul wari ke neechay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Maqam e Mehmood ki bulandi Hay paey Khairul wari ke neechay Nahi hay Yasrib si koi basti Zamee pe arsh e ula ke neechay Ali ki talwar ki karamaat Marhab o abdwad se poocho Har ik jahannum ko hi sidhara Jo aa gaya is qaza ke neechay Na hashr tak uth sakay ga ab woh Gawah tareekh e Karbala hay Nazar se Asghar ne Hurmula ko Kuch aisay mara utha ke neechay Wo jin ki khaatir jahan banaye Zameen aur aasma sajaye Na un ko dhoondo milain ge saray Wo Fatima ki kisa ke neechay Woh chahta to hazaron zamzam Hazaron Kausar uchal deta Simat ke pani tarrap raha tha Hussain ke naqsh e paa ke neechay Idhar udhar na phiro mareezo Hussainiat ke matab may aao Sihfa to aaram kar rahi hay Zameen e Karb o bala ke neechay Na is ko cherro na is ko parkho Na mit saki hay na mit sakay gi Ye qom sari chupi hui hay Dua e khairul wara ke neechay Nabi ke beton ki nisbaton ne Urooj izzat dawam bakhsha Khushi se Shehzad hans rahay thay Raqeeb mujh ko gira ke neechay |