Tha yaad may Nabi ki jo Zehra ka bain haey
Ankhon may uth-tay baith-tay ansoo thay dil nidhal
Haider shareek e gham thay aur atfal pur malal
In ke siwa kisi ko na tha un ka kuch khayal
Roti thi sar patak ke mazar e Rasool par
Tooti thi ik qayamat e kubra Batool par (x2)
=====
Ab zair e saiban falak reh gayeen Batool
Dar tha bikhar na jaye kaheen oos may ye phool
Woh baad e kund woh gul e guldasta e Rasool
Shabnam ke bhais may maraz-ul moat ka nazool
Aaya bukhar Fatima beemar ho gayeen
Baba ke pas janay ko tayyar ho gayeen (x2)
=====
Baad az dua jo haqqe wasiyat raqam kiya
Ruk ruk ke har maqam pe bibi ne ki buka
Teh kar ke phir musallay pe us khat ko rakh diya
Yasin parrh ke lait gayeen aur ki qaza
Fizza tarrap ke roei ke bibi guzar gayeen
Bachon ko palnay bhi na payeen ke mar gayeen (x2)
=====
Matam kiya kisi ne to peeta kisi ne sar
Ghash may parra tha koi to koi tha noha gar
Nagah bu Turab ko woh khat parra nazar
Mazmoo parrha to ronay lagay cheekh maar kar
Nashtar ka ahle dil ko ye fitra Batool ka
Ye aakhri salam hay bint e Rasool ka (x2)
=====
Farmayishon se may jo gurezan rahi madaam
Ab bhi bayan karnay se sharmayi ya Imam
Dil ki ye aarzo hay ke aey Sarwar e anaam
Khud ghusl dain kaneez ko Maula e khas o aam
Baba ka wasta mujhe dilshad kijyo
Meray Hussain ko kabhi ronay na dijyo (x2)
=====
Sab se eham ye arz hay ya Shah e ins o jaan
Londi ko shab may dafn karain Sarwar e anaam
Ab tak ye jin ke durron ka bazo pe hay nishaan
Un ko na chal sake ye pata qabr hay kahaan
Khawahish ye aakhri na faramosh kijyo
Mera jaheez sab meri Zainab ko dijyo (x2) |