Bint e Ahmed madar e Shabbir o Shabbar Fatima
Efforts: Syed-Rizwan RizviBint e Ahmed madar e Shabbir o Shabbar Fatima
Zaamin e nasl e Nabi tafseer e Kausar Fatima

Tahira tera laqab hey Syeda tera khitab
Chadar e tat-her hay teri hi chadar Fatima

Na khudaye kahstiye deen e Nabi teray pisar
Khalq ka mushkil kusha tera hi shohar Fatima

Shabbar o Shabbir sardar e jawanan e Jinaan
Saqi e kausar Ali khatoon e mehshar Fatima

Dekhnay may paanch hain kamli may laikin aik hain
Ahmed e Mursal Ali Shabbir o Shabbar Fatima

Jo masaib tujh pe guzray baad e haqqe ambiya
Raat ho jatay guzartay gar dino par Fatima

Baad e rehlat bhi na tujh ko chain se rehnay diya
Munhadim kar di teri qabr e mutah-har Fatima

Baap par ronay ko ye dono taras kar mar gayeen
Ik Sakina aur ik bint e payambar Fatima

Zakir e bint e Nabi hain khof kia zahir tujhe
Teri kar dain gi sifarish roz e mehshar Fatima