| May to Panjtan ka ghulam hoon Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
May to Panjtan(as) ka ghulam hoon May faqeer-e-khairul anaam hoon May mureed-e-khairul anaam hoon May ghulam ibn-e-ghulam hoon Mujhe ishq hay to Khuda se hay Mujhe ishq hay to Rasool se Yeh karam hay sara Batool(as) ka Meray mooh se aaye mehak sada Jo may naam loon tera jhoom kay ================================================ Bedam yehi to panch hain maqsood-e-qainat Khairun Niha, Hussain o Hasan Mustafa Ali ================================================ Mujhe ishq sarw-o-saman se hay Mujhe ishq saray chaman se hay Mujhe ishq un ke watan se hay Mujhe ishq un ki gali se hay Mujhe ishq hay to Ali(as) se hay Mujhe ishq hay to Hasan(as) se hay Mujhe ishq hay to Hussain(as) se Mujhe ishq Shah-e-Zaman(as) se hay May to Panjtan ka ghulam hoon ================================================ Shah ast Hussain, badshah ast Hussain Deen ast Hussain, deen panah ast Hussain Sar dad na dad dast dar dast-e-Yazeed Haqqa ke bina-e-La ilah hast Hussain ================================================ Mera shair kia tera zikr kia Meri baat kia meri fikr kia Meri baat un kay sabab se hay Mera shair un ke adab se hay Mera zikr un ke tufail se Meri fikr un ke tufail se Kahan mujh me itna sakat bhala Ke ho manqabat ka bhi haq ada ================================================ Mujh pe kitna Niazi karam ho gaya Dunya kehnay lagi Panjtan ka gada Is gharanya ka may jab se nokar hua Sab se achchi meri nokri ho gaye ================================================ Hua kaisay tan se woh sar juda Jahan ishq ho waheen Karbala Meri baat un hi ki baat hay Meray samnay wohi zaat hay Wohi jin ko sher-e-Khuda kahain Jinhain bab-e-Salle ala kahain Wohi jin ko aal-e-Nabi kahain Wohi jin ko naad-e-Ali(as) kahain Wohi jin ko zaat-e-Ali(as) kahain Wohi pukhta hain may ti khaam hoon May to Panjtan ka ghulam hoon ================================================ Le khamstu utfi beha harril wabail hatima Al Mustafa wal Murtaza wabna huma wal Fatima ================================================ May Qamar hoon shair-e-be nawa Meri haisiat hi bhala hay kia Woh hain badshahoon ke badshah May hoon un ke dar ka bas ik gada Yeh to nisbaton ka hay silsila Mera Panjtan se hay wasta Mera Panjtan se hay rabta May faqeer-e-khairul anaam hoon |