May khush naseeb hoon mujh pe karam Hussain(as) ka hay
Ata kia hua sara bharam Hussain(as) ka hay
May moatabar hoon jahan may Hussain(as) ke sadqay
Qasam Ali(as) ki meray dam may dam Hussain(as) ka hay
Yazeediat ko huay sarnigoon huay zamana hua
Baland aaj bhi laikin alam Hussain(as) ka hay
Falak ki aankh se girtay hain aaj bhi ansoo
Falak ke seenay may aaj bhi gham Hussain(as) ka hay
Khuda ne di hay unhain jannaton ki sardari
Khuda bhi dekh Asad hamqadam Hussain(as) ka hay
|