| Na manzilain hain na rasta Hussain se aagay Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
Na manzilain hain na rasta Hussain se aagay Nahi wajood kisi ka Hussain se aagay Sirat e ishaq pe qurbaniyon ki manzil may Koi nazar nahi aata Hussain se aagay Milay jo par to ye kehta hua urra Fitrus Nahi hay koi maseeha Hussain se aagay Pisar Hussain ne bachpan may bakhsahy raahib ko Naseeb ja nahi sakta Hussain se aagay Khuda ke hukm se pehli ibadat e mursal Na hay namaz na sajda Hussain se aagay Parrhi Qurano ne aisay namaz e hifz e numa Rakha gaya sar o seena Hussain se aagay |