Ali ke aanay ka yun Rab ne ihtemam kiya Efforts: Syed-Rizwan Rizvi |
علیؑ کے آنے کا یوں رب نے اہتمام کیا خموش در رہا دیوار نے کلام کیا علیؑ کے عشق میں رب خود ہی لا مکان ہوا جو اِک مکاں تھا وہ اُس نے علیؑ کے نام کیا میں سوچتا ہوں نصیری کی پھر خطا کیا ہے کہ جب علیؑ نے خدا کا ہر ایک کام کیا کہیں بھی دشمنِ حیدرؑ جو سامنے آیا تو ہم نے تیغِ تبرّا کو بے نیام کیا اسی سبب سے یہ بت خانہ ہو گیا کعبہ میرے علیؑ نے جو کچھ دن یہاں قیام کیا درِ بتولؑ وہ در ہے جہاں محمدؐ نے کبھی درود پڑھا اور کبھی سلام کیا زمانے بھر میں بس عباسؑ ہی تو ہے جس نے یزیدی فوج کا نظروں سے قتلِ عام کیا شرف یہ کم نہیں منصور اور نور علی نبیؐ کی بیٹیؑ نے اپنا ہمیں غلام کیا Ali ke aanay ka yun Rab ne ihtemam kiya Khamosh dar raha deewar ne kalam kiya Ali ke ishq may Rab khud hi laa makaan hua Jo ik makaan tha woh us ne Ali ke naam kiya May sochta hoon ke Nuseri ki phir khata kia hay Ke jab Ali ke Khuda ka har aik kaam kiya Kaheen bhi dushman-e-Haider jo samnay aaya To ham ne tegh-e-tabarra ko be nayam kiya Isi sabab se yeh but-khana ho gaya Kaaba Meray Ali ne jo kuch din yahan qayam kiya Dar-e-Batool woh dar hay jahan Muhammad ne Kabhi darood parha aur kabhi salam kiya Zamanay bhar may bas Abbas hi to hay jis ne Yazeedi fouj ka nazron se qatl-e-aam kiya Sharaf yeh kam nahi Manzoor aur Noor Ali Nabi ke beti ne apna humain ghulam kiya |