Kho gaye ho tum kahan, dhoondti madar Aey Ali Akbar meray (x2)
1. Zakm seenay par laga (x2), aur jigar tak chid gaya Khoon se rangeen hai, sar zameen-e-karbala (x2) Haat rak-lo zakm par, aati hai maadar Aey Ali Akbar meray (x2)
2. Aarzu hai ye meri (x2), dekhun sehray ki lari Haaye qismat kya karun, khoon mai maiyat pari (x2) Saij phoolon ki kahan, khaak ka bistar Aey Ali Akbar meray (x2)
3. Monisoo yawar nahin (x2), shah ka lashkar nahin So gaye Abbas bhi, ghoud may Asghar nahin (x2) Sainkaron ranjo mehan, aur ik Sarwar Aey Ali Akbar meray (x2)
4. Ek Sakina si behan (x2), shal hai kooron se badan Aur gale may bandhnay, shimr laya hai raskan (x2) Zulm ki hai intiha, chin gaye gowhar Aey Ali Akbar meray (x2)
5. Touq ka aazar hay (x2), Abid-e-beemar hay Zainab-O-Kulsum aur Shaam ka bazaar hay (x2) Baad teray ahle shar, ley gaye chaadar Aey Ali Akbar meray (x2)
6. Qaid se jab aaungi (x2), main Madina jaoungi Pouchey gi Sughra tumhe, kiya usay batlaaungi (x2) Kis tarha seh paayegi, gham tera khuwa-har Aey Ali Akbar meray (x2)
7. Aey shaheed-e-karbala (x2), Aey shahid-e-Mustufa Wasta hai aapko Shabbar-O-Shabbir ka (x2) Ab Hasan ki leejiye kuch khabar aakar Aey Ali Akbar meray (x2)
|