Veeran aagosh-e-madar Veeran dil Sakina ka Kahymon ki tarha hai veeran Asghar tera jhula (x4)
1. Ansu bahaaye Kaise jhulaye Bali Sakina haay Asghar tera jhula (x2)
2. Jalti zameen par, tu soraha hai Furqat mei teri, dil roraha hai (x2) Roti hai madar Roti hai khwaahar Karta hai nawha haay Asghar tera jhula (x2)
3. Suna hai jangal, suni hai godi Zakhm-e-judaayi, degaya tu bhi (x2) Veeran dil hai Veeran khayma Ye kehke roya haay Asghar tera jhula (x2)
4. Aa mere jaani, aagaya pani Aja mita du, tashnadahani (x2) Kuza uthakar Rowi Sakina Jaise hi dekha haay Asghar tera jhula (x2)
5. Tera humakna, yaad aaraha hai Madar ke dil ko, tarpa raha hai (x2) Thaam ke royi Jhule ki dori Khali jo laaya haay Asghar tera jhula (x2)
6. Maqtal mei tujhko, kya neend ayi Kisne waha par, lori sunaayi (x2) Kal tak thi jaula Aagosh-e-madar Aaj ye sehra haay Asghar tera jhula (x2)
7. Nazdeek jakar, jhule ke madar Kokh jali ye, kehti hai rokar (x2) Jaawu kahan mei Saare jahaan mei Hai meri duniya haay Asghar tera jhula (x2)
8. Ankhon mei dajna hai ansuwon ka Lab pe bukaa hai, dil matami hai (x2) Hai aza khaana Dil teri maa ka Aur isme beta haay Asghar tera jhula (x2)
9. Maa ki fughan ka, lori samajh kar Ay mere bache, aja palat kar (x2) Kethi hai madar Hoti zabaan gar Tujhko bulaata haay Asghar tera jhula (x2)
10.Baab-ul-hawaa'ij, ay maula Asghar Kehte hai sab se, Irfan-o-Mazhar x 2 Paayi duaayen Usme Ali se Jisne uthaaya Asghar tera jhula (x4) |