Aun o Muhammad meray Aun o Muhammad
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Kehti thi Zainab, Ay mere sheyro
Kehti thi Zainab, Mere dilero
Aun-o-muhammad mere, aun-o-muhammad (x4)

1. Khwaab ye Zainab ka tha, chaand sitare mere, chaand sitare (x2)
Mamu pe hongaye fida, goad ke pale mere, goad ke pale (x2)
Khwaab ye sacha huwa, Sar mere uncha raha, hone ko sheh par fida
Laal mere, sheyr mere chaand mere
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

2. Jaffar-e-tayyar ke, khun ke akkas ho, khun ke akkas (x2)
Husn mei Akbar ho tum josh mei Abbas ho, josh mei Abbas (x2)
Jang ke maydaan mei maut ke armaan mei, saya-e-quran mei
Aise utho, aise laro, maut pe tum qud paro
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

3. Haan meri takeed par dhyan tumhara rahe, dhyaan tumhara (x2)
Jake lab-e-nehr bhi pyaas gawara rahe, pyaas gawara (x2)
Dud na bakshungi mei, mu bhi na dekhungi mei, sheyr ki beti hu mei
Wada karo, aao chalo, tum na raho
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

4. Maana ke pyaase ho tum, pyaas pe qabu rahe, pyaas pe qaabu (x2)
Sheh ke alamdar ki, saans mei khushbu rahe, saans mei khushbu (x2)
Bas ye tamanna meri, laaj rahe khun ki, Hai ye wasiyat meri
Khawo qasam, jaawo hasham, hoga na kam
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

5. Aun ye kehna laga, bhayi Muhammad suno, bhaayi Muhammad (x2)
Aeik taraf mei badoun, eik taraf tum barho, eik taraf tum (x2)
Jang ho fowj-e-sitam, jang kare aise ham, maamu hame de alam
Deke hamain, amma kahe, jeete rahain
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

6. Dono jari jang ko, surat-e-andhi barhe, surat-e-andhi (x2)
Nana Ali ki tarha, maut pe haavi rahe, maut pe haavi (x2)
Milke jo hamla kiya, meymana-o-mesra, eik me dam hogaya,
Teygh-e-Ali, aise chali, dhoom machi
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

7. Dekh rahi thi jo ma, khaime ke darpar khadi, khayme ke dar par (x2)
Saath wahi thay khade hazrat-e-abbas bhi, hazrat-e-abbas (x2)
Bhaayi behen saath thay, sahib-e-awlaad thay, waris-e-ajdaad thay,
Kehne lage, khub lade, sheyr mere
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

8. Larte kahan tak bhala, pyaas ke maare huwe, pyaas ke mare (x2)
Jalti huwi khaak par dono tarapne lagay, dono tarapne (x2)
Bhaayi se kehne lagi, fakhr se bint-e-Ali, surkhru Zainab huwi,
Sadkhe tere, bhaayi mere, laal huwe
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)

9. Aun-o-Muhammad na the, wo dur-e-nayaab thay, wo dur-e-nayaab (x2)
"SARWAR-O-REHAN" wo wakif-e-adab thay, wakif-e-adab (x2)
Hukm jo maa ne diya, rukh na kiya nehr ka, pyaas ka sadma saha,
Maa ne kaha, shukhr-e-khuda, huway fida
Aun-o-Muhammad mere, Aun-o-Muhammad (x2)