Qaidi bani khari hay Karbal may Zehra sani Bhoolai Gi Kaisai Zainab Adaz nabi jo ki hai ummat nai merhbani
1) Paband-e-Rasan Zainab chadar bhi nahi ser pai Tuti hai qiyamat yeh Zehra kai bahrai ghar main Bazu bandhai huwai hain haider ki baitiyon kai, hai Shaam ko Ravani
2) Kerbal na gayi Bibi, bethi hun Medinai main Hai barchi lagi kaisai, terai bahi kai seenai main Mer jayai gi Sughra to haii Asgher nai jab Sunayi, Kerbal ki yeh Kahani
3) Zehra bhi dua deti, Moula sai ajar milta Is kaam kai sadqai main Firdos main ghar milta Kerbal Main Musalmano haii Asgher ko pila dai tai, do boond agar pani
4) Qaidi beemar syed, ankhon sai lahu jari Zainab ki aseeri pai, roya hai raat sari Bhoola na mart-e-dam tak haii ker ker kai yah roya, Akber ki nojawani |