1. Ek jari chaahiye taarike shuja-at ke liye Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 2. Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 3. Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 4. Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye Iltaja behre madad apni zabaan par laye Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 5. Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 6. Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho Ya ilahi mujhe abbas sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 7. Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 8. Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa Har kadam par use isaar ka jazba dena Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3) 9. Aey Kaleem hogayi maqbool duaa-e-Haidar Usko Mesum kaha hai Fatema Zehra ne pisar Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar Ya ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho (x3)
|