Aabad hui Karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x4) Zainab(s.a.) ko na raas aaya Muharram ka mahina Barbaad hui mein
Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
1. Ek din tha keh is shaher ki kerti thi mein Shahi…Aur aaj tabahee (x2) Bay ghusl parra mohr-e-Nabuwat(SAW) ka nagheena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
2. Kis Laash pay rouoon kissay chouroon mein Biradar…Laashein hain Bahattar (x2) Had yeh hai keh ronay ki ijazat bhi mille na....Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
3. Asghar(a.s.) ka galla, bhai ka Sar, sina-e-Akbar(a.s.)…Sab Gohar-o-Chadar (x2) Is dasht mein loota gaya Zainab(s.a.) ka Khazeena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
4. Maayein bhi na pehchaan sakein bachoon kay chehray…Bikhray howay sehray (x2) Hai khoon kay derya mein gareeboon ka Safeena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
5. Ek aag hai khaimoon mein qayamat ka samaan hai…Ghazi(a.s.) tu kahan Hai (x2) Daykho to rida cheen gaya shimr(la) kameena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
6. Chadar chini dur lay liye ab zulm na dhaoo…Baba say millao (x2) Nayzay kay tallay bayth kay roti hai Sakina(s.a.)..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
7. Paband rasan Bibiyian bazaar kholay ser…Her moar pay pathhar (x2) Masoom yateemoon ka baha surkh paseena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
8. Shaukat sar-e-maqtal yeh kaha Bint-e-Ali(s.a.) nay…Zehra(s.a.) ki palli nay (x2) Bhayyia tayray bin khak tayri behna ka jeena..Barbaad hui mein Aabad hui karbobala ujra Madina barbaad hui mein (x2)
|