roze ashoora subha ko di jo akbar ne azan shamiyon ne haye samjhi na risalat ki zaban
karke moo suye madine umme laila ne kaha aao sughra ban chuke dulha tumhare bhai jaan roze ashoora subha...
ya khaleel-allah zara ye hausla to dekhiye khanychte shabbir hai seena e akbar se sina roze ashoora subha...
padke khat sughra ka shah ne laashe akbar se kaha jaa bulaati hai tujhe ujde gharon ki paasban roze ashoora subha...
dhoondti phirti hai laashon may sakina baap ko haye baba haye baba bolo baba ho kahan roze ashoora subha...
cheenli shimr e sitamgar ne tamache maar kar baap ne to pyar se pehnayi thi jo baaliyan roze ashoora subha...
is liye laaye nahi qaimay may asghar ko hussain dekhli tooti hui gardan to mar jaayegi maa roze ashoora subha...
hai rasan basta saron may khaak hai sab ke nisaar shaam ki jaanib chala aale nabi ka kaarwan roze ashoora subha... |