Aa gayee binte Ali, berida haath bandhe bhare bazaaron may Jiss ne sooraj nah kabhi dekha tha, ro rahee hay voh gunahgaron may
1) Kaun jaanay ke yeh hay kaun, rassan pehne hooe Berida rotee hai sajjad ke peeche chup ke Siskiyanh doobi hainh jiss Bibi kee Hae zanjeero kee jhankaron meinh
2) Hae Zahra teri kismet nah millah Haqq tujh ko Aisee tazim teri ki hai mussalmanonh ne Tera Haqq mangne aayee Zainab Ek menosh ke darrbaronh meinh
3) Kahan Zainab aur kahan shaam ke logonh ka hajoom Sarr barehana oonchee avaaz mainh khutbe parhna Qatlay murrsal ka havaala de karr Chadare Mangna badhkaronh mein
4) Aag Khaymonh ko Luggee aur thay Sajjad be hosh Roro Abbas ko deti thihsadaen Zainab loot lo chadare Sayyedaniyyonh kee Shor barpa tha sitamgaronh meinh
5) Jiss tarha bali Sakina rahe Baba ke beghair Sogayyi chaen se tanhhaee meinh rote rote Hitchkiyyanh dabb gayyee Massooma kee Hae zindano ke deevaronh meinh
6) Jiss jagga Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar Chhorr Karr dukhiyya vahanh rotee hai Zahra aa Karr Baal Kholay hooeh saar peet ti hai Apne pyaaronh ke Azadaaronh meinh
|