Zindaan main nahin ati, kyun taaza hawa bhaiya Sajjad Sakina ko, murney sey bacha bhaiya
Paani nahin maangoon gi, bachon ko sambhaloon gi In chotay say haathoon se, teray kaantay nikaloon gi Ek baar Sakina ko, tu pass bula bhaiya
Jis nay mujhay maara tha, woh khwaab main aata hai Mai so bhi nahin sakti, kuch aisay darata hai Sajaad mujh ay de do, Bahon main pannah bhaiya
karti hai behan wada, baba ko na roye gi ashqon sey kabhi apna, daman na bhigoey gi inn gor undehron se, karva dey reha bhaiya
Jeeti thi Imamat kai, main paak savairon main Ab meri guzarti hai, zindaan kai andheron main Is waqat bhi rassi main, hai mera gala bhaiya
Deewaron se zindaan ki, takra k main girti hoon Phir dair talak bhaiyya, tanhai main sisakti hoon Aa rait k bistar seh (x2) Bhaina ko utha bhaiya.
Behlatay thay sab mujh ko, jis waqt mein roti thi Hai saari khabar tum ko, kis ja pe main soti thi Aa dekh Sakina ko (x2) Kya haal howa bhayah
Sajjad tere ghaam main, jo ashkh bahaey ga Jo halqa-e-matam main, sir peet-ta aaye ga Tauqeer dilaongi (x2) Wada hay mera bhaiya
|