Karbal ki kahani jab, koi bhi sunaye ga Dil walo ki ankhon se, ek dariya bahaye ga Woh qafila Sarwar ka, jo shaan se nikla tha Sughra ko khabar kya thi, na laut ke aye ga
Zehra! Zehra! Pursa lo bahatar ka!
Tooti hai kamar Sheh ki, ghabra na magar Akbar Farzand e Nabi teri, maiyyat ko uthaye ga
Zehra! Zehra! Akbar ka bhi pursa lo!
Paamal hua Qasim, jab ghoron ki taapon se Kis tarha chacha teri, maiyyat ko uthaye ga
Zehra! Zehra! Qasim ka bhi pursa lo!
Tha hathon ke katney ka, kuch gham na dilawar ko Saidaniyon ka parda, ab kaun bachaye ga
Zehra! Zehra! Abbas ka pursa lo!
Sote hi na they Asghar, jhooley mein taraptey they Maadar ko khabar kya thi, ek teer sulaye ga
Zehra! Zehra! Asghar ka bhi pursa lo!
Sarwar ne uthaye they, sab saathiyon ke laashey Shabbir tera laasha, ab kaun uthaye ga
Zehra! Zehra! Shabbir ka bhi pursa lo! |