Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera Aa ke seenay se lagao baba
May andheray may akeli hi na mar jaoon kaheen Mujh ko marnay se bachao baba
1) May teri yad may din raat yun tarrapti hoon Jaisay pinjray may koi ghayal parra ho panchi Moat ka khouf hay sannata hay veerani hay, meri imdad ko aao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
2) Mujh ko aadat hay teray seenay pay sar rakhnay ki Chain ki neend bhala kaisay zameen par aayey Qaid khanay may to parrti hay bala ki garmi, apni goadi may sulao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
3) Meray dada nay reha kitnay kiye thay qaidi Us ki pooti hoon magar qaid may majboor hoon may Naam le ke tera ronay nahi deta zaalim, ab meri qaid churrao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
4) Phupiyon ke bhi bandhay hath pas-e-gardan hain Woh bhala kaisay meri aankhon se aansoo pochain Besahara hoon yateemi ka karra mausam hay, apni soorat to dikhao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
5) Yad besheer ki aati hay mujhay sham o sahar Us ka jalta hua jhoola bhi nazar aata hay Mujhay mil jao meray marnay se pehlay aa kar, sath Akbar ko bhi lao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
6) Nok-e-Neza pe jo kartay thay tilawat Maula Janay kia soch ke Akhtar ye Sakina ne kaha Shaam ke log to behray hain samajh saktay nahi, in ko Quran na sunao baba Qaid-e-tanhai may dam ghutnay laga hay mera, aa ke seenay say lagao baba
|