Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay Yeh khoon-e-nahaq chupay ga kyunkar, jisay yeh dunya chupa rahi hay
1) Hussain maqtal may le ke Asghar, qabar bananay ko chal paray hain Rubab logo tarap tarap kar, azaey Asghar mana rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
2) Tamam aalam ko yeh dikhaya, kata kay gardan ko deen bachaya Magar yeh ummat abhi bhi aale, nabi ko logo sata rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
3) Ajab hay karb-o-bala ka manzar, rawan hay jab ke galay pe khanjar Arsh bhi karwat badal raha hay, Sakina aansoo baha rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
4) Hussain lasha jawan ka lay kar, chalay hain maqtal se soey khaima Magar zaeefi qadam qadam par, utha rahi hay bitha rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
5) Hussain maqtal may ja rahay hain, jawan betay ki lash uthanay Magar zaeefi qadam qadam par, utha rahi hay bitha rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
6) Barehna sar hay Ali ki beti, magar wohi azmat-e-Muhammad Woh jis khatir bhara hua ghar, luta ke karbal ke aa rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
7) Janab-e-Adam janab-e-Eisa, janab-e-Maryam janab-e-Zehra Hussain ibn-e-Ali kay gham may, ajal bhi ansoo baha rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
8) Qabool karna sar ko katana, magar na batil se khouf khana samajh sakay to sun lay zamana, sada yeh pyasoon ki aa rahi hay Hussain teray lahoo ki khushoo, falak ke daman se aa rahi hay
|