Hussain badshah nabi ka ladla Haey Karbala may lut gaya
Us par yeh sitam jis kay Sadqay may bani dunya
1) Athara baras kay betay kay, seenay pe lagi maqtal may sinaa Us sher jawan kay lashay par, karti thi jawani aah-o-fughan Sheh tooti kamar thamay, rotay thay kharay tanha Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
2) Allah re ghurbat ka aalam, ghurbat pe ghareebi roti thi Mazloom pisar ki halat par, maa khaak pe baithi roti thi Kehti thi behan ro kar, haey mera maa jaya Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
3) Larzay may khudai thi sari, heran thay saray payghambar Jab tegh-o-sinaa kay saey may, sajday may rakha Shabbir nay sar Yeh kehta hua Kaaba, khud karnay tawaf aaya Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
4) Konain ka aaqa maqtal may, tha khoon may tar aur tanha tha Zakhmi tha bohat hi zakhmi tha, pyasa tha bohat hi payasa tha Pyasa hi gaya mara, pamal hua lasha Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
5) Darya ke kinaray qatl hua, woh jis ka sher sa bhai bhi Asbab luta khaimay bhi jalay, be parda hui maa jaye bhi Na bhai rahay zinda, na sar pe koi saya Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
6) Kia farsh zameen kia arsh-e-bareen, ki jinn-o-bashar kia hoor-o-malak Shabbir ki ghurbat pe gohar, roey ga zamana hashr talak Majlis ki sada ho gi, matam yeh sada ho ga Hussain badshah nabi ka ladla, haey Karbala may lut gaya
|