Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain Ye warise Jafar hain ye Aun-o-Mohammad hain
1) Maidan may bhari hain ye dono hazaro par Ye shere dilawar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
2) Dewaar se kufay ki takra diya faujoon ko Ye saniye Haider hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
3) Darbar may logon ko ye Shimr batata tha Chote se jo do sar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
4) Zainab ne kaha bhaiya ye aap ka sadqa hain ye azm ke paykar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
5) Haider ki shuja-at ke waris hain zamane may Ye dono barabar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
6) Hain sin bhi abhi chotay hain ghuncha dahan dono Aur azm may Akbar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
7) Maqtal se Riyaz aayi Zehra ki sada mujh ko Ye khoon may jo tar hain ye Aun-o-Mohammad hain Zainab ke ye dilbar hain ye Aun-o-Mohammad hain
|